Yeh sitaray hain motiaye k phool
Kis ki mala fiza mein toot gayi x2
Chaand, tika hai kis k mathay ka
Raat kis ka suhagh looth gayi
Sitamgari k tareeqay sikhayaye jaatein hain
Haseen bantay nahi hain banaye jaatay hain x2
Humari is bazm mein us buzm mein hai farq itna
Wahan chiragh, yahan dil jalayey jaatein hain
Meray khoon e arzu ko x7
woh samajh rahay hein pani
Unhay hosh tak na aaya
meri lut gayi jawani x10
Abhi tak woh guliyan, haseen hain jawaan hain
Jahan hum nay apni jawani luta di
Khirad ko yeh zid thi na lut ti jawani
Is he zidd pay mein nay jawani luta di
meri lut gayi jawani x10
Kaha jo mein nay un say, mein nay
Jawani luta di, jawani luta di, jawani luta di
Woh bolay mohabbat mein lut jaatay hain deen o eman
Bara teer mara jawani luta di
meri lut gayi jawani x10
Shabab e umr jata hai, khizan kehti hai aanay ko
Jawani ruthi jaati hai, kisay bhejon mananay ko
meri lut gayi jawani x10
Peeri mein khum qamar mein nahi, zuaf say qamar
Mein jhuk k dhoondta hoon jawani kidhar gayi
meri lut gayi jawani x10
unhein hosh tak na aya
meri lut gayi jawani x10
Mein nay pehla he kaha tha k yeh har ada hai fani x3
Aray kuch bhi nahi siwaye musalsal faraib hai
Dekha hai zindagi ko nihayat qareeb say
Kay yeh har ada hai fani fani x7
Oonchay oonchay makan thay jin k
Aaj woh tang gore mein hain parey k
Kay yeh har ada hai fani fani x7
Naam rahay ga allah ka
Kay yeh har ada hai fani fani x7
Dil badnaseeb tu nay
Meri baat he na mani x5
Na mita tu thokron say, yeh nishan e qabr zalim
Aray yehi akhri bachi hai, teray hijr ki nishani x5
Kabhi lab pay ah o naalay, kabhi dil mein ghum k chaalay
Kay bara he sakht nikla, ye maqam e zindagani x5
Zindagi kiya hai
Anasir ka zahoor e tartib
Aur maut kiya hai
In he ajza ka pareshan hona
ye maqam e zindagani x5
Zindagi kiya hai
Zindagi kiya kisi muflis ki qaba hai jis mein x2
Har ghari dard k pewond laga kartay hain
Aray zindagi kiya khanaktay huay sikkon ki sada
Aur maut kiya hai bhari jaib ka khali hona
ye maqam e zindagani x5
Qabr k chonkthay khaali hain, inhay bhi dekho
Jaanay kab konsi tasweer saja di jaye
ye maqam e zindagani x5
Dard k rung mein kiya dhali zindagi x2
Ban gayi mustaqil bay kali zindagi
Tum chalay ho toh isko bhi laitay chalo
Meray kis kaam ki khokli zindagi
Mein gham e zindagi mein tarapta raha
Muskarati rahi manchali zindagi
Tehmi tehmi k ashkon k ghunchay khilay
Dard ki ruth mein phooli phali zindagi
Uff woh mausam, judai ka tapta hua
Dhoop kiya, chaon mein bhi chali zindagi
Har qadam par nayi aik thokar lagi
Saath meray jahan tak chali zindagi
Ho kay majboor phir naz kehna para
ye maqam e zindagani x5
Namrood nahi, shaddad nahi
Dunya mein qaum e aad nahi
Kiya lut ki qaumein yaad nahin
Kiya nooh ka tufan bhool gaye
Mooh dekh liya aaenay mein
Aur Daagh na dekha seenay mein
Afsos hay aisay jeenay mein
Anjam ko nadan bhool gaye
Kiyon yaad say ghafil hotay ho
Kiyon umr gunah mein khotay ho
Kiyon sheesh mehal mein sotay ho
Kiya gor e ghareeban bhool gaye
ye maqam e zindagani x5
Baithay hein hum to pehlay he
aankhon mein dhool dalay
Ay roo e yaar tu nay parday fazool dalay
Nayrangi yeh zamana, turbat say koi poochay,
Baazon nay khaak dali, baazon nay phool dalay
ye maqam e zindagani x5
Aray zindagi, zindagi kiya hai?
Zindagi asdad ka peyman e lutf o ittefaq
Aik hum ahangy miane jazba e wasl o firaq
Aik atal meesak mabeen a jamood o inshiqaq
Khair o shar ka sul oh nama, sham musarsar ka wifa
Zindagi kiya hai
Zindagi yusuf zulekha qais laila laldaman x2
Eid ki meh, chaudvi ki raat, chauthi ki dulhan
Aik khanakti lab kushai aik chubuktha baanthpan
Rang sagar, raag mandar, roop mala phool ban
Jis ki karn o hujra e qudrat mein rakhwali hui
Titlion ki rasmasati chaon mein paali hui
Zindagi kiya hai
Zindagi bag e shri shan rang di bad sohni
But tarashi, raqs, moseeqi, khitabat, shairi
Pankhri titli sanobar doob nasri chandni
Har zabani, aasmani, zaafrani, zindagi
Laj wal thi mat bari komal sohani zindagi
Zindagi kiya hia
Zindagi murtay hua patton par boondon ki khanank
Subah e sharma ki kiran, sham e baharan ki thanak
Bol titli ki uran awaaz konday ki lapak
Kootdi birqa mein sarangi kay taaron ki lachack
Shehr e tan mein phool walon ki kali hai zindagi
Aur gardan e afaq mein jampa kali hai zindagi
Aur maut, naam zisht e maut say uth ta hai seenay mein dhuan
Farq e hasti par karak uth thi hai dehshat ki kaman
Dil pay rakh deta hai khauf e marg woh bar e giran
Bolnay lagti hai sehmi zindagi ki haddian
Aray koi narm awaz, koi dastaan bhaati nahi
Aray maut yaad ajayey to raaton ko neend aati nahi
ye maqam e zindagani x5
Aik roz soo e gore e ghariban mera hua guzar
Paaon say takra gaya meray kisi murday ka sar
Lagtay he thokar, yeh khopri nay dee sada
Tu kis qadr maghroor hai tu dkeh kar chal rasta
Mein hua hairan, us khopri say yoon kaha
Kaun hai tuh, naam kiya hia, Kuch pata apna bata
Sun k phir meri sada, khpopri nay yoon kaha
Mein bhi tha aik badshah dunya mein mera raaj tha
Meray qabzay mein thi dunya, meray sar par taj tha
Ay Aziz, sab say bara lashkar mera
Sab say ziada maal or zar
Kaatay jaatay thay isharay par mairay lakhon k sar
Mein khuda e waqt tha jaari mera farman tha
Maut ko bhoola tha mein us k na mujh ko dhiyan tha
Laikan maut jab aayi mila matti mein wo sara gharoor
Maal o zar ko chor ka aana para dunya say door
Haan ise saar mein bhara that shahnshahi ka ghuroor
Ab wohi sar thokron say hogaya hai chaknachoor
ye maqam e zindagani x5
Ay dil, chal shehr e khamoshan aik baar
Mein dikhaon tujhay murdon k mazaron ki qatar
Ay dil, yeh wohi hain jinhein mehlon mein neend aati thi
Har pari khawab mein aati thi aur jaati thi
Ay dil, yeh wohi hain inhay na aik mandar na masjid ki khabar
hoti thi
Narm bistar par sada umr basr hoti thi
Ay dil yeh wohi hain kisi ko chaqoo say mara kisi ko goli say
Kisi ki leygaye dulhan utha k doli say
Ay dil pooch, pooch in say
Kiya hua wo maal jo tum nay jora tha
Aray maal to maal, yeh kapray bhi nahay laye hain
Woh bhi auron k pehnany ko chor aaye hain
ye maqam e zindagani x5
Aray jab tak dum hai teray seenay mein
Yeh makan tera hai, yeh makan tera hai
Warna ghangor andhera mein tera dera hai
Aur yeh teray ghar walay tujhay inaam kia kum deyngay
Teri zameen, daulat aapas mein baant layngay
Tu nay jin azizon k liyay is dunya mein dhan ko jora hai
Unhe nay la k tujhko andheray mein tujhko chora hai
ye maqam e zindagani x5
Aray zindagani kiya hai ja kar karbala walon say poonch
Sarwar e kaun o makan ki goad k palon say poonch
Zindagani k liyay lakhon k aagay dat gaye
Aik aik kar k sar e maidan bahattar kat gaye
Deen par qurban akbar ki jawani hogayi
Surkhroo laikn fiza e zindigani hogayi
Hazrat e abbas k bazoo agarchay kat gaye
Zulm k badal fiza e zindagi say jhat gaye
Piyaas k maaron ki tapti raet par betabiyan
Likh rahi hain zindagini k liyay shadabiyan
Dekh kar paiwast asghar k
galay mein teer ko
Zindagi kuch aur bhi dilkash lagi shabbir ko
Zair e khanjar jab ada ki ibn e haider nay namaz
Sar kata kar aur bhi kuch hogaye woh sarfaraz
Ghazion k khoon say phulwari wafa ki khil gayi
Zindagni ko masaib say rihai mil gayi
Seh k sadmay aik musalsal shadmani paa gaye
Waar k jan e hayat e javidani paa gaye
Aur naizay ki ani par charh kar yeh farma gaye
ye maqam e zindagani x5
ye bara hi sakat nikla
ye maqam e zindagani x5